Thursday, September 4, 2014

Waqt


Waqt ki chaadar par
Aazmaaish ki silvate na ho
To woh waqt bhi fizul ho jata hai

Bikhre palon mein
Gar khwaish ke chheetein na ho
Toh who pal ek dhundla saya hojata hai

Katra Katra
Jo haq na ho humse rubaru
Woh haq bhi humse chup kar hume daga de jata hai

Dil mein daba ho koi ehsaas
Jo waqt rehte bayan na ho
Toh woh ehsaas bhi khud se beparwah ho jata hai

Har lamha thehere pani ke tarah
Hai dikhata humara aks hume
Par na rahe hume ilm yeh
Toh waqt jhonke ki tarah sab khatam kar jata hai


-Vaisakhi Mishra

8 comments:

  1. Waqt ki chaadar par aazmaish ki silvate na ho... You had me on the first line
    Good one

    ReplyDelete
  2. Nice words, Vaisakhi.
    Waqt has beautiful poetry & Hindi movie song lyrics too.
    I remember Geeta Dutt's song- 'Waqt ne kiya'.

    ReplyDelete
  3. One of your best Urdu poems ! Amazing :)

    ReplyDelete