Jazbaaton
ke panno mein
Aawaz
kahin guum si ho gayi hain
In
hawaaon mein behkar
Baatein
kahin guum si ho gayi hain
Roya
hai yeh dil phirse
Jane
kis baat se machal utha hai yeh kambakt phirse
Hanste,
muskurate, aasuon ki barish mein,
Bheeg
sa gaya hai yeh phirse
Kehte
hum thakte nahi
Waqt
ne hai sabko bante gum aur khushi
Phir
jaane kyon ladhte hain hum kismat se
Jab
sikhae woh hume jina zindagi
Ugte
suraj ko dekh ke jana
Naya
savera aaega
Chattano
pe tut te lehron se jana
Har
pal yunhi kho jaega
Thame
pal, theherenge nahi
Jana
in me hi hai jeena kahin…
Aazad
kiye dar ke parinde
Thame
nayi dor phir chal diye
Bas,
khud ko khud se milane.
-Vaisakhi Mishra
p.s.-originally written on 15.10.11.....